Har Shaks Ki Zindagi Mien
Aik Aysa Lamha Zaror Aata Hai
Jab Wo Tabahi Ke Dahane Par
Khara Hota Hai
Aur Us Ke Raaz
Khulne Wale Hote Hain
Aur Us Wakt
Aur Us Wakt Jab Wo Khoof Ke Koh-e-Tor Tale
Khara Kapkapa Raha Hota Hai
To Allah Usey Bacha Leta Hai
Ye Allah Tala Ka Ehsaan Hai
Aur Usey Apna Aik Aik Ehsaan Yaad Hai,
Hum Bhool Jate Hain,
Wo Nahi Bhoolta
Tum Apne Hal Howe
Masloon Ke Liye
Us Ka Shukr Ada Kiya Karo
Jo Saari Zindagi
Tumhare Masley Hal Karta Aya Hai,
Wo Aage Bhi Kar De Ga,
Tum Wohi Karo
Jo Wo Kehta Hai,
Phir Wo Wohi Kare Ga
Jo Tum Kehti Ho
Phir Jin Ke Liye Tume Roti Ho
Wo Tumhare Liye Royien Ge,
Magr Tab
Magr Tab Tumhe Fark Nahi Pare Ga...
Fark Nahi Pare Ga...
Kabhi Kabhi Thak Haar Kar
Kyon Jee Chahta Hai
Ke Banda
Duniya Aur Duniya Walon Se Kat Jaye
Aur Khud ko
Aur Khud ko Zamana Ke Us Wahid Mehrbaan
SAWW Ke Tasawur Mien Youn Gum Kare
Ke Aankh
Uss Wakt Tak Behti Rahe,,,
Jism Uss Wakt Tak Kampta Rahe,,,
Rooh
Uss Wakt Tak Pukarti Rahe,,,
Ke Jab Tak
Ke Jab Tak
Wo Khud Aa Kar
Humare Dukhre
Sun Na Lien,,,
Hume Seeney Se Na Laga Lien...
Aye Rab-ul-Alameen
Kis Kadar Toot Rahi Hai
Meri Wahdat Mujh Mien
Aye Meri Wahdton Wale Mujhe Yakja Kar De
Ye Jo Halat Hai Meri
Main Ne Banai Hai Magr
Jaisa Tu Chahta Hai
Ab Mujhe Waisa Kar De
Mere Har Faisle Mien Teri Raza Shaamil ho
Jo Tera Hukm Ho
Wo Mera
Irada Kar De
Mujh Ko Wo Ilm Sikha
Jis Se Ujaaley Phelien
Mujh Ko Wo Ilm Sikha
Jis Se Ujaaley Phelien
Mujh Ko Wo Ism Parha
Jo Mujhe Zinda Kar Dey
Zaye Hone Se Bacha Le
Mere Maa'bood Mujhe
Ye Na Ho Wakt Mujhe
Khail Tamasha Kar Dey
Khail
Tamasha Kar De
Không có nhận xét nào:
Đăng nhận xét